Saturday, December 14, 2019

Nasihat dene wala bhi nahi....

Aaj do hafte ho gaye
Yaqeen to abb bhi ata nahi
Ki app chale gaye,
Sadiq Manzil, Jo abad thi apse
Jiski raunak that app
Aaj khali hai,
Ek ek kar sab chale gaye
Main, Abba, Aisha o Sohaib

Door yahan Emarat mein,
Zindagi apne raftar pe
Main daftar mein
Bache school mein
Kabhi to aisa lagta hai
Jaise kuch hua hi nahi
Aap gaye hi nahi...

Par raatein,
Lambi aur mushkil hain
Apki yaad dilateen hai
Kabhi apki nasihatein
Kabhi apka Lehja,
kabhi andaaz,
Kuch khoya khoya sa lagta hai...

Jaise kari thay koi app
Jure thay sab apse
Apki batein hoti thi sabse
Mulaqatein hoti thi sabse
Sochta hoon kya baat karoon
Kaise yaad karoon
Ronay na lagoon
Kamzor na dikhoon...

Mujhe yaad hai ab-bhi
Apne kaha tha mujhse
Kamzor ka zamana hai
Isliye main roya to nahi
Par kamzor to kar gaye app
Chale to gaye app...

Janaze mein bahut log aye
Bahuton ka phone aya
Hazaroon to pehle hi bhool gaye thay
Unhe usse din bhi yaad na ayi
Humne shikayat bhi na ki
Apko jaldi jo thi
Ap unke liye kya rukte
Jab humare liye na ruke

Khair, Allah se dua hai
Apko Jannat naseeb kare
Aur humein himmat
Kamzor ka zamana jo nahi
Aur nasihat dene wala bhi nahi

Yasir