Thursday, June 23, 2011

kho gaye uss ghadr mein...


Aaj mulk azaad to hai,
par Taareekh ke woh warq,
jisme mere ajdaad thay,
kho gaye uss ghadr mein...

Gandhi, Nehru o Jinnah
Unki shafaqat aur Liyaqat,
samjh na paye ki insaaniyat
kho gaye uss ghadr mein...

Urdu Zubaan ka woh nara,
Inqalaab zindabad,
zinda to hai, par woh zubaan,
kho gaye uss ghadr mein...

Batey hue bharat ke neta,
humhein roz baattein hai,
Ittihad ke woh khadim,
kho gaye uss ghadr mein...

Khoon, Aagzani, Fareb o chori,
naye parcham hain bharat ke,
Mohabbaton ka woh Hindustan,
kho gaya uss ghadr mein...

Kahan jaon, Kisse kahoon,
budsukooni hai har taraf,
Pareshan hain sab,
Sukoon to,
kho gaye uss ghadr mein...