Wednesday, January 25, 2012

Ek barhman ne kaha mujhse...


Kuch baras pehle ki baat hai
Ek barhman ne kaha mujhse
Karta hai jo tu mohabat usse
Par kya janta hai tu yeh
Woh bani nahi tere liye

Muskura kar maine kaha use
Zaat bari hai bahut uski
Jisne tujhe yeh illm diya
Bharosa hai mujhe uss par
Bara hai darbaar jiska

Khataon ko maaf kar
Mere Bharose ke dum par
Meri mohabat se mila kar
Sabit kiya usne zor apna

Par Na jane kyon aaj
Uss barhman ka khayal aya
Uski baton se khauf sa laga
Maine dil ko samjhaya
Allah ki taqat ko dohraya

Phir bhi Maine socha
Iman aur shirk ki yeh larayi
Kyon cheri hai akhir dil mein
Barhman ki yaad ka ana
Mera Allah taqat ka dohrana

Kahin Koi Ishara to nahi
Ki Shadi ki khushi mein
Bacho ki Hansi mein
Zindagi ki masroofiyat mein
Pakar meri taqwe par
Kamzor ho rahi thi shayd

Yeh bhi khoob mojza hai uska
Jo bahano se yaad dilata hai
Ki wahi malik hai
Uski hi raza hai
Behtar hoga Yasir
Dor yeh thame raho
Usse yaad karte raho...