Thursday, July 15, 2010

Abbu ke naam...

Usse haath mein lete hi,
Uska chehra dekhte hi,
Uske Galon ko chute hi,
Uske Kano mein azAAn dete hi
ek aisa ehsaas sa hua
jaise sabse azeez cheez ho meri
Meri beti!!!
In chand palo ne
Zindagi ka har waraq mera
guzre barson ka har nazara
yaad dila diya ho jaise...

Abbu ki awAaz ka woh pehla ehsaas
Unki surkh ankon ka woh khauff
Unki ungliyon ke sahare mera chalna,
Unka mujhe har roz parhana,
Mujhe aligarh pahuchana,
Mujhe har shaam phone karna,
Meri bimari mein rathon ko na sona,
Meri mohabbat se unka aiteraaz hona,
Meri shadi se unka inkaar hona,
Mera unse narAaz hona,
Unko iska malAal hona,
Phir meri shadi karawanA,
Aur eliza ka paida hona.

Itna waqt laga mujhe
Yeh ehsaas hone mein
Bache nahi samjh sakte
Maa-baap ka bachon se pyAar

Aaj mujhe ahsaas to hai
par mushkil abbhi saath hai
aise dorahe par khara hoon
Jahan Eliza ke niklate dAnt hain
wahin Abbu ke girte dAnt hain
Jahan Eliza ke chalne ka intezaar hai
wahin Abbu ko sahare se chalane ka afsoos
kabhi Eliza ki tooti baaton ka matlab khojta hoon
kabhi Abbu ke larkharate lafzon ko sochta hoon...

Aye Khuda !!!!!
Yeh tera kaisa nizaam hai
Ek haath mein khushi deta hai
Dusre mein gham
Kya yeh tera tariqa tha
Mujhe ehsaas dilane ka
Ki tu hi malik hai
yeh Ghum bhi tera hai
yeh Khushi bhi teri hai
Hum bhi tere hain
Kayanath bhi teri hai...

(Eliza - my 9 months old daughter)

1 comment:

Blabber Dog said...

Zindagi ke hain yahi rung aur roop yahi hain,
Pal mein hai khushi ya, gham pal ke liye hain;

Ek soya padaa hai tere zaano’n se lipat kar,
ek door kahin darwaaze se lag kar ke khada hai;

Yeh na soch yeh pal taa-umr rahega,
ek aaj hai kal dooja tujhse aa milega;

Karna tu tasalli jis haal mein bhi hoga,
yeh pal-pal ka hai mahaul har pal naa rahega….

Bahut achcha hai Yasir, I can understand your feelings, the mix of happiness and sorrows.. But dear life goes on. We have to be strong and face it.. Take care