Manzil to…
woh pathar hai !!!
jise…
Himmat ke jazbon se
Iman ki pukhtagi se
Irade ke bulandi se
Taraash kar…
Fauladi haathon ko
Apne jeene ka
Apne marne ka
Safar tai karna hain.!
Woh Safar
Jisse hum taa zindagi
Gir pardte
Hilte marte
Chalte hain !!!
Jinmein …
na alami jazbein hain
na fauladi iradein hain
na quami ettihad hai
na awami himmat hain
Manzil ek bewafaa ashiq ke manind
Muskurati hai
umeed dilate to hai
par mere qareeb ake
chupke se mujhe se kehti hai
safar abhi mukamal nahi
iradon ki bulandi mein
iman ki pukhtagi mein
kamiyan bahut hain
kamiyan bahut hain
Arz hai us khuda se
Jisne qayanat banayi
Safar mera mukamal karde
Safar mera mukamal karde
ياسر بن طيب
woh zindagi hi kya
jiski manzil na ho
.woh manzil hi kya
jo khudgarz ho
1 comment:
It’s well written... Some thing still missing....!
woh zindagi hi kya jiski manzil na ho..? Still not satisfy.
Post a Comment