Tuesday, April 13, 2010

Manzil to (Edited)

Manzil to…
Woh taswur hai !!!
Jise… Humein apne
Jazbon se
Buland Iradon se
Fauladi haathon se
Taraash kar…
Apne jeene-marne ka
Safar tai karte hain !!!

Woh Safar
Jispe hum taa zindagi
Gir pardte
Hilte marte
Chalte to hain !!!
Par inmein …
na Woh jazbein hain
na Woh ettihad hai
Jiski humein darkar hai

Mere taswur ki yeh Manzil
ek bewafaa ashiq ke manind
Muskura kar !!!
chupke se mujhse kehti hai
safar abhi asaan nahi
Manzil kahin pass nahi
Irade abhi buland nahi
Iman abhi pukhta nahi

Arz hai us khuda se
Jisne yeh qayanaat banayi,
kamiyan meri puri karde,
Safar mera asaan karde,
Manzil ka woh taswur mera
Ab tu mukkamal karde !!!
Ab tu mukkamal karde !!!


ياسر بن طيب

No comments: